AAJ ke Artical mein ek baar phir se ek new trick lekar aaya hun Agar Aap ek Blogger hai to aapke liye ye post bahut jaroori hai. Is Post ko Dhyan se padhe. Aaj aapko is post me batayega Blogger me Custom Ads.Txt kya hai? Ads.Txt ko blogger me kaise add kare? Aur Adsene me ads.txt error ko kaise Fix kare. Aapko bata de ki, Google Adsense ke naye update ke baad, Sabhi Bloggers ko ek naya Notice aa raha hai. "Earnings at risk – One or more of your ads.txt files doesn’t contain your AdSense publisher ID” warning?" Bahut se bloggers ko ye notice aa raha hai. Agar ise fix nahi kiya gaya to bahut se bloggers ki Earning bhi band ho sakti hai.
Custom Ads.Txt Kya Hai ?
Agar main aapko ek simple language me bataun, To "Ads.Txt" Website Owner ke Adsense ka hi ek code hota hai. Jiski help se koi bhi ads owner ke website par dikhaya jata hai. Ads.Txt - jhuthi Ads placment protection, aur bahut se blogger kah rahe hai ki unke blog par accha traffic aa raha hai. Aur Ads par click bhi ho raha hai. Lekin uske bawajood bhi unhe Earning nahi aa rahi. Iska kaaran Ads.Txt ko apne blog me add na karna hai. Lekin agar aap Adsense ke liye apply, apne Blogger ke earning option se kiya tha to, Blogger khud hi ads.txt ko update kar deta hai. Check karne ka tarika maine upar aapko bata diya hai. Lekin agar aapke blog par ads.txt add nahi hai to, aap manual bhi ise add kar sakte hai
Custom Ads.Txt Blogger Blog Me Add Kaise Kare ?
Sabse pehle aap apne Blog me Login ho jaye, Uske baad Settings me jaaye, Aur Niche bataye gaye steps ko follow kare:
1) Blogger Settings me jaye.
2) Uske baad Search Preference par jaye.
3) Ab sabse niche → Monetization ke option par Custom Ads.Txt dikhega.
4) Custom Ads.Txt by defaut disable hoga. Aapko ise Enable Karna hai.
To Dosto, Is tarah se aap apne Blog par ads.txt add kar sakte hai. Ummeed karta hun ki mere Dwara batai gai jankari aapko acche se samjh me aa gaye honge.
Hello Friends,
आपको मेरी यह पोस्ट कैसी लगी आप मुझे Comment जरुर करे और मेरी इस पोस्ट को अपने दोस्तों के साथ शेयर जरुर करे और पोस्ट को आपने दोस्तों के साथ साझा करे | धन्यवाद!अगर इस के अलावा आप बीच में किसी भी प्रकार की कोई समस्या आती है तो आप मुझे Comment BOX में पूछने में संकोच न करे !अगर आप चाहे तो आप मुझे अपना सवाल को मेरे Email ID पर भी भेज सकते है मुझे आपकी सहायता करके ख़ुशी होगी |मैं ब्लॉग से सम्बंधित और Technology, Shopping Discount, जैसे ढेर सारे पोस्ट को आंगे में Post करता रहूँगाइसलिए हमारे Blog “Hindi Touch Indai” को अभी अपने Mobile और Computer पर Bookmark (Ctrl+D) करना न भूले तथा मेरी सभी Post को पाने के लिए अभी मुझे Subscribe करे !