Showing posts with label Bigrock. Show all posts
Showing posts with label Bigrock. Show all posts

Saturday, October 31, 2020

Whatsapp Group Kaise Banaye or Delete Kaise Kare

Whatsapp Group Kaise Banaye or Delete Kaise Kare       

Ek baar fir se aapka swagat hum.  Sabhi smartphone user apne mobile me whatsapp chalate hai aur sabhi kisi na kisi whatsapp par user bane hi rahte hai



group se jude hote hai. Aap whatsapp chalate hai to aapne bhi kabhi group banane ke baare me socha hoga. Lekin kya aapne kabhi koshis ki hai ki whatsapp par group kaise banate hai aur ye kaise kaam karta hai. Aaj ki post me hum janenge ki whatsapp group kaise banaye aur agar jarurat pade to whatsapp group delete kaise kare.

Whatsapp Group Kaise Bayana jata hai

Agar aap bhi apna khud ka group banana chahate hai to is post ko details se padhte jayiye. Mere bataye tarike se aap kuch hi der me apna whatsapp group create kar payenge. Sath hi agar aapse koi galti ho gayi hai aur aap apna whatsapp group delete karna chahte hai to iska tarika bhi aapko is post me mil jayega.

Whatsapp group kya hota hai                       

Group ka matlab jo sabhi jante hai, jahan par kuch khas friends sath sath rahte hai. Aise hi whatsapp me bhi group banane ka feature hai. Whatsapp par group banakar aap apne sabhi friends ko ek sath jod sakte hai.

Iska sabse bada fayda hai ki aapko ek hi message alag alag sabhi ko nahi bhejna padega. Aap group me ek message send karenge to sabhi group member use padh lenge. Aayiye ab jante hai ki whatsapp group kaise banate hai.Whatsapp group kaise banaye                                              
  • Sabse pehle whatsapp app open kare aur right hand side me option (3 dot) par click kare.
  • Ab aapko kuch option dikhai denge, 


yahan par “New group” option par click kare.
  • New group par click karne ke baad “Add participant” me aapko sabhi contact number dikhai denge.
  • Ab is contact list me se jise aap apne group me add karna chahte hai Use kar Sakte hai, Agar App Kisi Ko Add karna Bhul Gaye ho To unhe Aap baad me bhi contact add kar sakte hai.
  • Contact select karne ke baad next button par click kar de.
  • Next page par aapko group subject add karna hai. Ye aapko group ka naam hoga. Koi accha sa group name enter kare aur right button par click kar de.
  • Aap Dhayan Rahe Ki Apple Groups Mein "Discretion" Jarur Jarur Likhe Jisse Apple Groups Ke Member Apple. groups Ke Baare Mein Sahi se Jankari Le Sake.
  • Aapka whatsapp group bankar ready hai.

To ye tha whatsapp group banane ka simple tarika. 

Whatsapp Groups Ka Admin Kaise Banayte hai

  • Is group ke aap sabse pehle admin hai. Ab aap kisi bhi group member ko admin bana sakte hai aur kisi new member ko add kar sakte hai.
  • Jis Kisi Ko App Group Ka Admin Banana Chahate hai Uske Name Par 2 Seconds Tak Hold Kare Jisse Kuchh Option Aanyege 
Ab App Make Group Admin par Click karke Use Apne Group ka Admin Bana Sakte ho.

Group icon kaise set kare                                  

  • Apne whatsapp group ko open kare.
  • Ab sabse top par group name par click kare.
  • Fir aapko naam aur uske background me empty image dikhai degi.
  • Background area par click kare aur gallery me se apna group icon select kare.
  • Image select karne ke baad use crop kare aur done kar de.
  • Aapka group icon set ho jayega.

Whatsapp group me member kaise add kare  

Starting me aapne apne group me kuch member add kiye the. Agar ab aap aur new member add karna chahte hai ye kisi member ko remove karna chahte hai to aap badi aasani se kar sakte hai, dekhte hai kaise?
Member kaise add kare –
  • Apne whatsapp group ko open kare.
  • Ab “Add participant” par click kare aur jise bhi aap group me add karna chahte hai uske name par click kare aur ok kar de.
  • New member add ho jayega.

Whatsapp group se member kaise remove kare                 

Agar koi member group ke niyam todta hai aur aap use remove karna chahte hai to aap easily group se hata sakte hai. Kisi bhi member ko remove (Hatane) ke liye group ko open kare. Fir us person ke name par click kare jise aap hatana chahte hai aur Remove par click karde.


Is tarah aap kisi bhi member ko hata sakte hai, kyunki aap group ke admin hai. Kisi bhi member ko remove karne ka adhikar sirf group admin ke paas hota hai.

Whatsapp group me admin kaise banaye        

Agar aapke group me aapke best friends hai to aap unme se kisi ko bhi group ka co-admin bana sakte hai. Fir uske paas bhi group ko manage karne ka adhikar hoga. Wo kisi bhi member ko remove kar sakta hai aur kisi ko add bhi kar sakta hai.
Group admin kaise banaye 
  • Apna whatsapp group open kare.
  • Fir member list ko open kare.
  • Ab jise aap admin banana chahte hai uske name par click kare.
  • Fir “Make group admin” par click kare aur ok kar de.
  • sakta hai ki wo aapko group se remove kar de. Agar usne aapko group se remove kar diya to aap fir se add nahi ho payenge aur apne hi group se alag ho jayenge.

Whatsapp group delete kaise kare                   

Agar aapke group me message aur chatting nahi ho rahi hai ya fir group me koi member nahi bacha hai. Ya kisi aur karan se aap apne group ko delete karna chahte hai to in baato ka khas dhyan rakhe.
Whatsapp group delete kaise kare –
  • Sabse pehle to one by one group ke sabhi member ko remove kare jaise maine upar bataya hai.
  • Sabhi member ko remove karne ke baad apne aap ko group se remove kare. Dhyan rahe sabse last me sirf aap bhi bachaha chahiye.
  • Khud ko group se remove karne ke baad “Delete group” ka option show hoga.
  • Delete group option par click kare aur “DELETE” par click karde.
  • Aapka group delete ho jayega.
Agar aap khud ko group delete karne se pehle hi remove kar lete hai to fir aap apne group ko delete nahi kar payenge. Isliye khas dhyan rakhe ki khud sabse last me group se remove kare.
Agar aap galti se remove ho gaye hai to fir se group me add ho jaye aur admin banakr group ko delete kar de.
  • अगर आप मेरी सभी Post को facebook और Twitter जैसे सोशल नेटवर्किंग साईट पर Follows करना चहते हैं तो आप अभी  Like कर सकते है ?